maa hoon main

Haan maa hoon main
Kabhi pyaar ka athaah sagar
kabhi simtaa sa sirf ehsaas hoon main
Janani to hoon hee..hridya se bhi apaar hoon main

Sakhi ,saheli,dost, salaahkaar
Sab mein nipun, jadu kaa pitara hoon main
Rasoi se nikale har pakwaan ko swaad deti
Maa ke khane kee lajwaab misaal hoon main

Pyaar dulaar daant fatkaar sab kar jaati
Ik pal mein roti dooje mein muskaati
Aisee chhavi, aise bhavon kee bhandaar hoon main

Bachpan kee baahon mein jhulaati
Jawaani kee raahon ko sehlaati
Samajhti ,samjhaati, jeewan ko khushnuma banaati
Ek jeewant pyara saath hoon main

Apne paraaye mein kabhi naa bantati
Sirf maa hoon – har kissi kaa ehsaas hoon main

Maa ki godi badi hai bahot,
Kilkaariyan,pareshaniyan,geet,jhagde
Sab milte hain jahan
Pyaar se dekho agar toh sab bachche hain yahan.

Apne bachcho tak nahi simti
Anginat ki zubaan per vidhdhimaan hun main
Iss shabd main na koi chaal hai or na koi kapat
Sab sachcha hai

Maa ki baahon main milta hai pyaar rishton ka dulaar
Ho umr koi per har koi yahan bachcha hai

Bandhano main nahi bandha
Na janm se na jaati se
Na hi ek starr ka mauhtaj hai ye
Ye rishta hai paawan bhagwan samaan
Bhedbhav se upar divya bandhan
Bas maa hai ye,maa hai ye , maa hai ye

  • supriya shukla
    Author
    U-Turn
  • supriya shukla
    Name of Band or Artist
    U-Turn
  • Haril Shukla
    director
    U-Turn
  • Jhanak and Damia
    producers
    U-Turn
  • Arhima Sharma
    Creative Producer
    Aaron, Bankster, Aadhaar, Ek lift Story, Kapat, Rahasyaa
  • Anam Ikram
    Camera
  • Mughdha Sharma
    Assistant Director
  • Brijesh Poddar
    Editor
  • Runtime:
    4 minutes 32 seconds
  • Completion Date:
    May 12, 2019
  • Country of Origin:
    India
  • Language:
    Hindi
  • Film Color:
    Color
  • First-time Filmmaker:
    No
  • Student Project:
    No
Director