Akeli Hay Zehra

Kahan jaaye aakhir bayabaan har soo
shikasta hai pehloo akeli hai Zehra

(Kahan jaaye aakhir bayabaan har soo
shikasta hai pehloo akeli hai Zehra) x3

(Rone pe pehra masayab ka sehra
akeli hai Zehra) x2

1. (Dar e Fatema ko jalaya hai tumne
kiya waada apna bhulaya hai tumne) x2

tamaache na maaro musalmaano jaao
Ali ko bulaao akeli hai Zehra

(Rone pe pehra masayab ka sehra
akeli hai Zehra) x2

2. (Bayaa'n kisse jaakar karoon dard apna
hai ghairon ko duniya nahi koi apna) x2

koi jaake baba se keh do ye jaakar
ke le jaao aakar akeli hai Zehra

(Rone pe pehra masayab ka sehra
akeli hai Zehra) x2

3. (Ae lakhte jigar ae Hasan ibne Haider
ye nana ke pehlu me sone na de gar) x2

tum aa jana pehlu me so jana maa ke
Baqi me yahan par akeli hai Zehra

(Rone pe pehra masayab ka sehra
akeli hai Zehra) x2

4. (Shahe karbala ne kaha roke maa'n se
ye mazloom bete ne mazloom maa'n se) x2

akela hoon main bhi akeli hain Zainab
akele hain baba akeli hain Zehra

(Rone pe pehra masayab ka sehra
akeli hai Zehra) x2

5. (Sare marg Akhtar tha Zehra ka nauha
kab aaoge Mahdi kab aaoge beta) x2

Khuda ke liye ab ye parda hata do
Chale aao aao akeli hai Zehra

(Rone pe pehra masayab ka sehra
akeli hai Zehra) x2

  • Mir Zaman Hussain
    Name of Band or Artist
  • Project Type:
    Song, Lyrics Only
  • Length:
    4 minutes 29 seconds
  • Completion Date:
    January 4, 2022
  • Country of Origin:
    India
  • Language:
    Urdu
  • Student Project:
    No
Artist