Aansu

(Chorus)
Kagazo Mein Aansu Girta Raha
Sach Itna Mein Likhta Raha

(Verse)
Jese Paida Hua Mein Azan ki Awaaz Ayi
Sab The Jese Khush, Chehron pe Muskaan Ayi
Din Tha peer ka Aur Bajj Rahe The Sarhe Nou
Mein To Tha Nadaan Mujhe To na Kuch Samajh Ayi
In The Future Ye Kahani Maa Ne Yun Sunai
Ghar Aya Mein Har Taraf Thi Khushiyaan Chaai
Kisko Pata Tha Khushiyon Ko Lagegi Nazar
Yehi To Hai Zindagi Phir Kis Baat Ka Hai Darr
Achanak Phir Papa Ki Tabyat Hui Kharaab
Jese Tese Legye Unhe Phir Haspataal
Lagta Tha Jese Hai Sirf Mamooli Bukhaar
Par Ane Wala Tha hum Par Azmaish Ka Pahaar
Ghar Ayi Mushkil Jese Bin Mosam Barsaat
Phir Bhi Dekh Aj bhi Mein Toota Nahi
Na Toote Aj Bhi Mere Jazbaat Kyun Ke
Mein Vo Nahi Jo Ho Jaun Depression Ka Shikaar

Par Jese Tese Hoslo Mein Jee Rha Tha
Mila Ke Harr Karwa Ghoont Zeher Jese Pee Rha Tha
Raaste Khatin Hein Par , Mehnat Musalsal Yuhi Rahegi
isi Kashmakash Mein Abbh Saari Zindagi Hee Kategi
Zindagi Ak Juaa Jisme Paise Lagana Aam Hai
Log Kehte Chor Ye Kaam Kyun Ke Mosique Haraam hai
Waqif Hoon Logo Ke Andar Chupe Kaale Dil Se
Khudse Kuch Ho Na Ho Doosro Se Ye Jalte

Pakra Hosh To Mili Gair Munasib Yaari
Zaban Saaf Or Safaid Par Dil Tha Khaali
School Ka Dour Aur Chota Saa Vo KaaMi Jise Apne Kaam Se Tha Matlab Aur Parhai Thi Sirf Jaari,
Mene Ne Tey Kia School Se Rozana Moosalane Ka Safar Par Yaad Aya Ahmed Faraz Ne Bhi Kaha Tha Ke
Dost Bann Kar Bhi Nahi Nibhane Wala
Wahi Andaz Hai Zalim Ka Zamane Wala
Aese Mein Hua Ak Ajeeb sa Piyar
Lagta Tha Jese hai Sirf Wahi Ak Yaar
Laakh Sapne Sajaye The Uske Sath
Uske Jhoot Ko Bhi Mein Sach Maanta Tha Yaar
Tab To Moat Ke Baad Bhi Na Thi Koi KHuwaish
Beshak Dunia Ko Hee Mene Jannat Maani Thi Yaar
Mili Takleefein Hazar Par Na Karsaka Mein Ye Bekaar Safar Paar

Par Jese Tese Hoslo Mein Jee Rha Tha
Mila Ke Harr Karwa Ghoont Zeher Jese Pee Rha Tha
Raaste Khatin Hein Par , Mehnat Musalsal Yuhi Rahegi
isi Kashmakash Mein Abbh Saari Zindagi Hee Kategi
Zindagi Ak Juaa Jisme Paise Lagana Aam Hai
Log Kehte Chor Ye Kaam Kyun Ke Mosique Haraam hai
Waqif Hoon Logo Ke Andar Chupe Kaale Dil Se
Khudse Kuch Ho Na Ho Doosro Se Ye Jalte
Dunia Chahe gair Meri Bas Mein Apna Sagga Hoon
Ghut Ghut Ke Jee Raha Hoon Par Sabse larr Raa Hoon
Abbh Sirf Maa Ki Umeedein Mujhse Jaari HAi
Na Saaya Baap Ka Tabhi Sarr Pe Zimmedaari
Rangeen Khuwab Oonche Shoq
Aage Zindagi peeche MOat
Par Ye Gaana Banega Abbh Un Sabki Moat
Jab Chalega Repeat On The Beat Aur Urenge Sabke Hosh!

(Chorus)
Kagazo Mein Aansu Girta Raha
Sach Itna Mein Likhta Raha

  • Kamran Adam
    Name of Band or Artist
  • Project Type:
    Song
  • Length:
    4 minutes 12 seconds
  • Completion Date:
    November 7, 2021
  • Country of Origin:
    Pakistan
  • Language:
    Urdu
  • Student Project:
    No
Artist Biography

Kamran Adam is an singer, rapper & lyricist

He is born 07 july 2003 in karachi

His father name is Adam

He started his music career in 7th june 2021

Add Artist Biography